Home / Hindi Lyrics / Sahiba
Hindi Lyrics
Sahiba Lyrics in Hinglish
Aditya Rikhari · Single · 2023
| Song | Sahiba |
| Singer | Aditya Rikhari |
| Lyricist | Aditya Rikhari |
| Music | Aditya Rikhari |
| Film / Album | Single |
| Year | 2023 |
| Label | T-Series |
Song Meaning
The lover asks his Sahiba when she will come home — without her there is no sleep, the nights never end, and day and night he thinks only of her. The heart is delicate, not rented — it breaks, so handle it with care.
Sahiba Lyrics — Hinglish
Note: there are many versions called 'Sahiba' — this is the Aditya Rikhari version (2023, T-Series), viral again in Nov 2026.
Lyrics source: Shazam lyrics, YouTube lyric videos. Credits: singer Aditya Rikhari · Label: T-Series.
MukhdaSahiba, aaye ghar kaahe na?
Aise toh sataye na
Dekhun tujhko, chain aata hai
Sahiba, neendein-veendein aayein na
Raatein kaati jaayein na
Tera hi khayaal din-rain aata hai
Antara 1Sahiba, samundar meri aankhon mein reh gaye
Hum aate-aate, jaana, teri yaadon mein reh gaye
Yeh palkein gawaahi hain, hum raaton mein reh gaye
Jo waade kiye saare bas baaton mein reh gaye
Antara 2Baaton-baaton mein hi, khwabon-khwabon mein hi
Mere qareeb hai tu
Teri talab mujhko, teri talab, jaana
Ho tu kabhi roo-ba-roo
Antara 3Shor-sharaba jo seene mein hai mere
Kaise bayaan main karoon?
Haal jo mera hai, main kis ko bataun?
Mere sahiba, dil na kiraaye ka
Thoda toh sambhaalo na
Naazuk hai yeh, toot jaata hai
ChorusSahiba, neendein-veendein aayein na
Raatein kaati jaayein na
Tera hi khayaal din-rain aata hai
Antara 4Kaisi bhala shab hogi woh sang jo tere dhalti hai?
Dil ko koi khwahish nahi, teri kami khalti hai
Aaram na ab aankhon ko, khwaab bhi na badalti hai
Dil ko koi khwahish nahi, teri kami, jaana, khalti hai
Antara 5Sahiba, tu hi mera aaina
Haathon mein bhi mere, haan
Tera hi naseeb aata hai
OutroSahiba, neendein-veendein aayein na
Raatein kaati jaayein na
Tera hi khayaal din-rain aata hai
Sahiba, neendein-veendein aayein na
Raatein kaati jaayein na
Tera hi khayaal din-rain aata hai